Ek kamare ka makaan

PhotoGrid_1485322392446Jawani k din the

roti kapda aur makaan se koso dur tak pochne ki umeede the

gadi, bangla, bank balance sab kuch chaiye tha

bas unhi dino ki baat hai ye..

Ek sapna dekha tha…ek bada aalishaan ghar mujhe banana tha

Manzil ka rasta khafi lamba tha…par hosla bhi kuch kam naa tha !

Kahi se toh shuruwat karni thi

Socha…ek kamare ka makaan hi kyun nai?

 

Makaan kharid toh lia par

Ghar wali baat thi nai !

Ghar jo banaye…who thi gharwali

Mere ek kamare k makaan ko…apne sapno se sajane wali.

Zindagi thi aasaan…santusht hona chaiye tha

Naukari, ghar aur biwi…ka hi toh zamana tha.

 

Raat thi…par neend nai

Paisa tha..par chain nai

haaye yeh jawani k din…kuch kar gusarne ka junoon tha

Aalishaan ghar ka joh sapna dekha tha…ab usse pura karna tha.

Zindagi badti rahi..kabhi thami nai

Gharwali aai…bacche bhi lai wahi.

Par sapna pura karna tha

aalishaan ghar ka rasta dudna tha.

 

Ek kamare se hue do kamare.

ek mein hum aur dusre mein bacche.

bhaade par hi sahi..ek kamare se toh bada tha

aalishaan ghar…ab toh jaise pass mein hi tha.

waqt badla…hum badle

zindagi toh chalti rahi…par zamane badalte rahe !

 

Mahangai bad chad kar bol rahi thi

bhaade ka ghar kharidne mein dikat ho rahi thi.

chota hi sahi…ek kamare ka ghar apna tha

aalishaan ghar ab bas sapno ka hi tha !

bacche bade hue…nikal padhe apne sapno k piche

reh gaye hum…apne budhaape toh sametate.

Gharwali k baal…safedi ki cham-chamahat thi

Buland chaal humari…ab ek lathi ki mohtaaj thi.

 

Aalishaan ghar ka sapna abhi bhi aakhen dekti thi

kaash..pura kar pate..chaah abhi bhi hoti thi.

zindagi badti rahi…apni gati se chalti rahi

gharwali toh chal basi…bas ab baari humari rahi.

 

Ek kamare ka makaan aajkal bada yaad aata hai

aspataal ka ward bhi yahi yaad dilata hai.

jiwan ka pahiya hai…ghum kar vahi aa jata hai

aalishaan makaan ki daur mein

ek kamare ka makaan hi bas reh jata hai !

Leave a comment